Yu dost saare apne apne raste badal gaye, - शायरी संग्रह - Shayari Sangrah

शायरी संग्रह - Shayari Sangrah

All heart touching shayari here only on Shayari Sangrah.Hindi Shayari Collections is the best ever app for Shayari Lovers. Choose from among the best and most heartfelt shayaris.Like on facebook

Post Top Ad

Responsive Ads Here
Yu dost saare apne apne raste badal gaye,

Yu dost saare apne apne raste badal gaye,

Share This
Yu dost saare apne apne raste badal gaye,

Kuch peeche ruk gaye to kuch aage nikal gaye,

Halaat ki dhoop zara si der ko tez kya hui,

Jitne wafa ke patthar the sare pighal gaye,

Wado ke tare raato se bahar na ja sake,

Irado ke din nikalne se pehle hi dhal gaye,

Wafao ke rang shabnam ke Katro ne dho diye,

Mohabbat ke phool jazbo ki shiddat se jal gaye.

Taano ke teer duniya ki kamano pe jab chadhe,

Sabar ke daman hatho se ekdum fisal gaye,

Aankhe khuli to khwabo ko bura laga magar,

Kuch der wo reh ke khafa humse wo khud hi bahal gaye,

Pehle pehal to ajeeb lage badle hue chehre,

Fir yu hua ki waqt ke saath hum bhi sambhal gaye.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here

Pages