Dilo pe aag labon pe gulab rakhte hain- Rahat Indauri Ghazal - शायरी संग्रह - Shayari Sangrah

शायरी संग्रह - Shayari Sangrah

All heart touching shayari here only on Shayari Sangrah.Hindi Shayari Collections is the best ever app for Shayari Lovers. Choose from among the best and most heartfelt shayaris.Like on facebook

Post Top Ad

Responsive Ads Here
Dilo pe aag labon pe gulab rakhte hain- Rahat Indauri Ghazal

Dilo pe aag labon pe gulab rakhte hain- Rahat Indauri Ghazal

Share This



दिलों में आग लबों पर गुलाब रखते हैं
सब अपने चेहरों पे दोहरी नका़ब रखते हैं

हमें चराग समझ कर बुझा न पाओगे
हम अपने घर में कई आफ़ताब रखते हैं



बहुत से लोग कि जो हर्फ़-आश्ना भी नहीं
इसी में खुश हैं कि तेरी किताब रखते हैं

ये मैकदा है, वो मस्जिद है, वो है बुत-खाना
कहीं भी जाओ फ़रिश्ते हिसाब रखते हैं

हमारे शहर के मंजर न देख पायेंगे
यहाँ के लोग तो आँखों में ख्वाब रखते हैं  ,.,!!!

---------------------------------------------------------------

Dilon pe aag labon par gulaab rakhte hain
Sab apne cheharon pe dohari naqab rakhte hain

Hame charag samajh kar bujha na pao ge
Ham apne ghar me kai aaftab rakhte hain

Bahut se log ki jo harf aashna bhi nahi
Isi me khush hai ke teri kitab rakhte hain

Ye maikada, wo mashjid hai wo hai butkhana
Kahi bhi jao farishte hisaab rakhte hain

Hamare shehar ke manjar na dekh paye ge
Yaha ke log aankhon me khwab rakhte hain

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here

Pages