Usoolon pe aanch aaye to takrana jaruri hai- Wasim Barelawi Urdu Ghazal - शायरी संग्रह - Shayari Sangrah

शायरी संग्रह - Shayari Sangrah

All heart touching shayari here only on Shayari Sangrah.Hindi Shayari Collections is the best ever app for Shayari Lovers. Choose from among the best and most heartfelt shayaris.Like on facebook

Post Top Ad

Responsive Ads Here
Usoolon pe aanch aaye to takrana jaruri hai- Wasim Barelawi Urdu Ghazal

Usoolon pe aanch aaye to takrana jaruri hai- Wasim Barelawi Urdu Ghazal

Share This
उसूलों पे जहाँ आँच आये टकराना ज़रूरी है
जो ज़िन्दा हों तो फिर ज़िन्दा नज़र आना ज़रूरी है

नई उम्रों की ख़ुदमुख़्तारियों को कौन समझाये
कहाँ से बच के चलना है कहाँ जाना ज़रूरी है



थके हारे परिन्दे जब बसेरे के लिये लौटे
सलीक़ामन्द शाख़ों का लचक जाना ज़रूरी है






बहुत बेबाक आँखों में त'अल्लुक़ टिक नहीं पाता
मुहब्बत में कशिश रखने को शर्माना ज़रूरी है

सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का
जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है

मेरे होंठों पे अपनी प्यास रख दो और फिर सोचो
कि इस के बाद भी दुनिया में कुछ पाना ज़रूरी है,.,!!

***************************************************

Usoolon pe jahan aanch aaye takrana jaruri hai
Jo jinda ho to fir jinda najar aana jaruri hai

Nayi umron ki khudmukhtarion ko kaun samjhaye
Kahan se bach k chalna hai, kahan jana jauri hai

Thake hare parinde jab basere ke liye laute
To saleekamand sakhon ka lachak jana jaruri hai

Bahut bebaak aankhon me talluk tik nahi pata
Mohabbat me kashish rakhne ko sharmana jaruri hai

Saleeka hi nahi shayad use mahsoos karne ka
Jo kahta hai khuda hai to najar aana jaruri hai

Mere honthon pe apni pyaas rakh do aur fir socho
Ki iske bad bhi duniya me kuchh pana jaruri hai

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here

Pages