Ab To Main Sone Se Darta Hoon.. - शायरी संग्रह - Shayari Sangrah

शायरी संग्रह - Shayari Sangrah

All heart touching shayari here only on Shayari Sangrah.Hindi Shayari Collections is the best ever app for Shayari Lovers. Choose from among the best and most heartfelt shayaris.Like on facebook

Post Top Ad

Responsive Ads Here
Ab To Main Sone Se Darta Hoon..

Ab To Main Sone Se Darta Hoon..

Share This
Kaha Tha NAA..!!
Ki Yun Sote Hue Mat Chhod Kar Jana..
Mujhe Beshaq Jaga Dana..!!
Bata Dena Tumhein Rasta Badlna hai,
Meri Hadd Se nikalna Hai...!!!

Tumhein Kis Baat Ka Darr Tha...???
Ki Main Jaane Nahi Dunga,
Kahin Par Qaid Kar LunGa..!!:-(

Arey Pagli..!!;-)
Mohhabat Ki Tabiyat Mein Zabardasti nahi hoti..!!
Jise Rasta Badalna Ho,Use Rasta Badlna Se..
Jise Hadd Se Nikalna Ho,Use Hadd Se Niklne Se..
Naa Koi Rok Paya Hai,
Naa Koi Rok Payega..;-)

To Tumhein Kis Baat Ka Dukh Tha..??
Mujhe Be-Shaq Jagaa Deti..
Main Tumhein Dekh Hi Leta..
Tumhein Koi Sadaa Deta..<3
Kam se Kam Yun Tu Naa Hota..:-(

Magar Ek Baat Keh Doon..
TUMHEIN KHONE SE DARTA HOON..:-(
AB TO MAIN SONE SE DARTA HOON..❞ :'(
JSK

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here

Pages