USAY MAINE YEH LIKHA THA - शायरी संग्रह - Shayari Sangrah

शायरी संग्रह - Shayari Sangrah

All heart touching shayari here only on Shayari Sangrah.Hindi Shayari Collections is the best ever app for Shayari Lovers. Choose from among the best and most heartfelt shayaris.Like on facebook

Post Top Ad

Responsive Ads Here
USAY MAINE YEH LIKHA THA

USAY MAINE YEH LIKHA THA

Share This


Usay Maine Yeh Likha Tha
Suno Aey Jaan Se Piyaari Gurriya !!!
Tumhain Maloom Hi H0ga
Tumhare Bin To Ab Mera Guzara H0 Nahi Sakta..
Tadapta H0n Judaayi Mai
Mager,,
Yeh Be’basi Kesi !!
Keh
Mei Khul Ke R0o Nahi Sakta..
Mere A’asaab Peh Haawi
Tumhari Yaad Ka Pehra
Main Shab Ko Soo Nahi Sakta..
Suno Gurriya !!
Koi Rasta,
K0i Tadbeer Ho Aesi
Keh Dil K Chaak Sil Jaayain
Judaayi Mai Wafaa0n K Kahii Peh Gul Jo Khil Jayain
Hum Phir Ik Baar Mil Jaayain..
Jo Ab Gurriya Ne Likh Bheja
Aey Meri Jaan Se Barh Kar !!
Yeh Mera Aakhri Khatt He..
Yeh Mana He Boht Mushkil
Mager !!
Dekho Meri Khaatir Tumhain Har Haal Mai
Mujhse Kinara Karna Hi H0ga..
Koi Tadbeer Bhi Ab K
Hamare Bas Se Baaher He..
Jo Dil K Chaak Hai Janaa’n
Yeh Phir Se Sil Nahi Sakte
Judaayi Mei Wafaa0n K Kabhi Gul Khil Nahi Sakte
Sun0 !!
Hum Mil Nahi Sakte..
Tumhari Khwaahishain Janaa’n
Hain Sir Aankh0n Peh Mere
So ,,
Sar-E-Raah M0habbat Mai
Tumhari Khwaahish0n Ka Ab Jo Ik Tawa’an He Zimmay !!
Usi Ko Bhar Raha H0n Main
Ubherti Saans Kehti He Musalsal Mar Raha H0n Main
Suno Gurriya !!!
Guzara Kar Raha H0n Main . 



कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here

Pages