Kabhi jo ker sako aisa - शायरी संग्रह - Shayari Sangrah

शायरी संग्रह - Shayari Sangrah

All heart touching shayari here only on Shayari Sangrah.Hindi Shayari Collections is the best ever app for Shayari Lovers. Choose from among the best and most heartfelt shayaris.Like on facebook

Post Top Ad

Responsive Ads Here
Kabhi jo ker sako aisa

Kabhi jo ker sako aisa

Share This

Kabhi jo ker sako aisa

to koshish ker k dekhna..

mujhe..meri tarah chahna..

faqat meri talab kerna..

phir mujhse door ho jana..

main kahon?bhool jao mujhe..

tum roz duaon may mangna..

main tumse her nata tor lon..

tumse her wo haq chheen lon

k tumhare paas agar wo ho

to nuqsan kisi ka na ho per..

shayad tum jee lo..

per tum chup reh k her ghum pee lo..

aur aisa bhi kerna k..

magar nahi..

tum aisa ker nahi sakti..

meri jagah khud ko rakh nahi sakti..

tum mujhe..

meri tarah chah hi nahi sakti? 


Us Nay Is Kadar Tanha Kar Diya Mujh Ko

Kay Ab Kise Ko Bhee Tanha Dekha Nahin Ja Ta...


Jane kya sOoch ke lehrein sahil se takrati hain,
Aur phir se laut jati hain.. !
Samaj nahi ata ke wOh kinarO se bewafai karti hain,
Ya phir laut ke samandar se wafa nibhati hain.
 
 
Na Chair Qissa E Ulfat Bari Lambi Kahani Hai..
Mein Zindagi Se Nahi Hara Kisi Ki Bat Mani Hai..

Badi Lambi Kahani Hai, Tuhmhey Leikin Sunani Hai
Tera Ghum Jaan Leva Par Teri Yadeein Suhani Hain

Ghamoon Ko Chor Hum Deitey,Sakoon Ko Tham Hi Leitey
Ghamoon Sey Kya Karein Leikin, Bari Yari Purani Hai

Zameen Ko Cheera Chahey, Hawa Ko Thamna Chahey
Badi Pagal Sahi Leikin, Yahi Yaro Jawani Hai

Ae Gham Tu Door Hi Rehna, Samandar Ansoon Ka Hai
Baha Le Jaye Na Tujh Ko, Ye Lehri Bhi Dewani Hain
 

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here

Pages