Dosti Shayari - शायरी संग्रह - Shayari Sangrah

शायरी संग्रह - Shayari Sangrah

All heart touching shayari here only on Shayari Sangrah.Hindi Shayari Collections is the best ever app for Shayari Lovers. Choose from among the best and most heartfelt shayaris.Like on facebook

Post Top Ad

Responsive Ads Here




Dil bikte hain,log bikte hai
logon k arman bikte
ye duniya wo bazar hai,jahan logon k emaan to kya
sb dharmon k Bhagwan bikte hain
Bikte hai gum husn ke bazaar me
 lakho dard chipte hai ek chote se inkar me 
ho jao ager jamane se khafa 
to swagat hai hamari dosti ke darbar me


Akela Sa Mehsus Karo Jab Tanhai Mein
Yaad Meri Aaye Jab Judai Mein
Mehsus Karna Tumhare Hi Paas Hoon Main
 Jab Chahe Mujhe Dekh Lena Apni Parchai Mein
 
Phir kahin door se ik baar sada do mujko
Meri tanhai ka ehsaas dila do mujhko
Tum to chand ho tumhe meri zaroorat kya hai
Main diya hoon kisi chaukhat pe jala do mujko

Kuch Rishtay Anjanay Mein Hi Ho Jatay Hain
Pehle Dil Phir Zindagi Say Jur Jatay Hain
Kehtay Hain Us Daur Ko Pyaar
 Jisme Log Zindagi Say Bhi Pyare Ho Jatay Hain
Pyaar Karke Jatayein Ye Jaruri To Nahi
Yaad Karke Koi Bataye Ye Jaruri To Nahi
Rone Wala To Dil Me Hi Ro Leta Hai
Aankh Me Aansoon Aayein Ye Jaruri To Nahi
         
Sapna ek lekin mushkile hazar hai
Tanhayi aur gum to mere bachpan ke yaar hai
Ab to yeh dil maut ke liye bhi taiyaar hai
kyunki is zindagi me hume sirf bewafao se pyaar hai
Nafrat Kya Hoti H Ye Hum Nhi Jante
Zindgi Ko Hum Apna Nhi Mante
Gum Mila Itna Ki Ehsas Nhi Hota
Koi Pyaar Bhi Kre To Ab Hame Vishwas Nhi Hota

Dosti Se Aaj Pyaar Sharmaya Hai

Teri Dosti Ne Humein Jina Sikhaya Hai

Aur Kya Maange Khuda Se Hum

Wo To Khud Aaj Mere Dar Par

Teri Dosti Maangne Aaya Ha

       

Dosti Se Aaj Pyaar Sharmaya Hai,

Teri Dosti Ne Humein Jina Sikhaya Hai,

Aur Kya Maange Khuda Se Hum,

Wo To Khud Aaj Mere Dar Par,

Teri Dosti Maangne Aaya Hai.

Meri Jholi Mein Kuch Alfaaz Apni Duaon Ke Daal Dena
Aye Dost,
Kya Pata Tere Lab Hile Aur
Meri Taqdeer Sanwar Jaye.
Khuda Ne Mujhe Bahut Wafadaar Dosto Se Nawaza Hai…
Aye Dost,
Yaad Main Na Karoon To Koshish Wo Bhi Nahi Karte.
Aapse Agar Meri Dosti Na Hoti,
To Meri Zindagi Bhi Zindagi Na Hoti,
Jamane Ke Gum Aur Sitam Se Mujhe Kya,
Aapke Siwa Baharon Se Mujhe Kya,
Aap Na Milte Mujhse Shayari Na Hoti,
Meri Shayari Bhi Aapse Hai Ghazal Bhi Aapse,
Mere Har-Ek-Nagmon Ka Pahal Bhi Aapse,
Aap Na Hote Ye Zindagi Itni Haseen Na Hoti,
Aap Hi Ne Nayi Zindagi Di Hai,
Aapke Naam Maine Zindagi Ki Hai,
“Raaj” Aapka Na Hota Khushi Na Hoti,
To Meri Zindagi Bhi Zindagi Na Hoti…
Umar Kar Di Hai Fana Humne Dosti Ke Liye,
Hum To Khud Hi Mar Gaye Zindagi Ke Liye,
Ab Tak Koi Na Mila Jo Wafa Kare Humse,
Bachaye Bhi Koi Duniya Ke Sitam Se,
Bewafai Mili Unse Jo Mashur The Sadgi Ke Liye,
Zindagi Ke Andhere Mit Na Sake Kabhi,
Zakhm Hi Diye Marham Wale Sabhi,
Dil Bhi Jalana Pada Mujhko Roshni Ke Liye,
Tum Agar Gum Hi Dena Chahate Ho Mujhe,
Maine To Apni Bhi Sari Khushi De Di Hai Tujhe,
Gum Hi Kar Do Aada  Dost Ki Zindagi Ke Liye.
 

 

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here

Pages